UnxploreDimensions...
Monday, September 17, 2007
Kaisee hai yeh chaah ?
Door rehkar bhi tujhse,dhoondun paas aane ki raah
Dil aisa mila muqaddar se mere
Jis mein dharkane gum aur khoon syaah
Palkon par sajaye rakhe hain nageene maine
Sulagti hain jin mein mere armaano ki aah
Ajeeb si cheez hai yeh mohabbat bhi
Bandh kar bhi kisi se sabse chooth jaane ki chah
Kaisee hai yeh chah
Door rehkar bhi tujhse, dhoondun paas aane ki raah
1 Comments:
If these are only a cheesled diamonds what would be the final ornament ! Nuiances of luv on one hand it is difficult to forego the longing and memories attached with it... Sums up the tale of luv in such brevity and yet detail as far as apathy goes ! Marhabba !!!
- By Sushil...
Post a Comment
<< Home