Har ghadi khud se ulajhana hai muqaddar mera,
main hi kashti hoon, khud hi mein hai samandar mera..........
kise se poochun ki kahan hoon gum main barso se,
har jageh dhoondta phirta hai mujhko ghar mera................
ek se honge mausam ke chehre saare,
meri aankhon se kho gaya hai manzar mera..................
muddat-ein beet gayee khwoab suhana dekhe,
jaagta rehta hai har neend mein bistar mera.....................
- Nida Fazli
kise se poochun ki kahan hoon gum main barso se,
ReplyDeletehar jageh dhoondta phirta hai mujhko ghar mera................
Bahut umda, behtareen rachna hai...